Dil ko samander, piar ko lehrain kehta hoon
Milna behter, judai ko behtareen kehta hoon
Ashk-baar aankhain, Sougwaar yaadoon kay saath
Dil pur-malal ho to, chehray per khushi rakho kehta hoon
Phool guldaan mai taaza achay lagtay hain
Aur dil kay zakhm haray achay, kehta hoon
Beech samandar kay yaar ka sahaara he bohat
Na-mukammal zindagi say mukammal maut achi hai, kehta hoon
Bay-wafaaon ki khatir baar baar maray hain
Raahi Ik wafa ki khatir mer ker dekhaiyay kehta hoon
Yahi kahani baar baar suni hai akheer tak
Ab aap kay samnay ik naya qissa kehta hoon
raaz koi bhi ho chupa laitay hain hum;
chupanay ka kisi ko bata daitay hain hum,
koi sunna na chahay tu koi ghum nahi humay;
kubhi akailay main bhi gun gunalaitay hain hum,
or jo ger humay koi chup kara day;
tu yey baat bhi dil ko sumjhalaitay hain hum,
mushkil nahi humaray liay kisi raaz ko chupana;
kubhi sun laitay hain kubhi sunadetay hain hum.
ab seekh lo sohaib raaz ko raaz rukhna;
raaz kubhi kubhi tor detay hain bharam
pathar kay mehloon mai matti kay insaan rehtay hain
bahar kay mausam mai bhi khizaan ki manind lagtay hain
billa sabab jhoti wafaaon kay dam bhernay walay
aisay he pathar aksar khuda bantay hain
zindagi ujray bagh ki tasveer hui hai
jab say hum bhanwroon ki misal
phoolon say gham chuntay hain baharoon kay
mausam to chand bay wafaoon kay naam ker diye
ab beth khizan main hum pachtaawoon say galay miltay hain
jinhoon nay apna wajood khud taarikion kay hawalay ker diya tha
ab kion gaye waqt per kaif-e-afsoos maltay hain
karl logoon nay hamain hujoom-e-gham mai bhi muskuratay dekha hai
issi liye ab aankh nam hai to chuptay phirtay hain
jo chowdhween ka sama ker dain aa ker mehfil main
karl woh chand phir din ki roshni mai rotay hain
Pooch Lo tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupaane Se.
Paas Aate Ho Chhootay ho Baat Karte ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaane Se.
Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaane Se.
Tumhein Na Paana Shaayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyee,
Mil Liye Apnay Ek Deewaane Se.
Roye Jaate ho, Bas Roye Jaate ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaane Se.
Karo Koshish K qurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaane Se.
Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaane Se.
Bhool Jaao Kar K Achcha Hai
Ehsaan Rehta Nahin Jataane Se
shaam hone ko hai
sooraj dhalne ko hai
mera dil ghabra raha hai
kiyon kuch hone ko hai
kou bewafa hone ko hai
apna koi paraya hone ko hai
aisa lagta hai jane kiyoun
jaise ghar koi lut jane ko hai
koi zakhmi hone ko hai
koi qatal hone ko hai
yeh mera dil hi hai jo
chup hone ko hai
koi yeh shahar chodne ko hai
koi yaha se kooch karne ko hai
yeh main hi hoon ae aamir
jo yeh jahan chorne ko hai
Jao tum! Theek hai Chali jao
Mai nay tumhain bohat sataya hai
Mager Tum bhi kissi say kam nahi ho
Mai to shehroon ki musafat per tha
Aur phir tumharay shehar mai ajnabi tha
Ghamoon ka ik pahar tha ser per aur
Mera haal ajeeb sa tha
Jab jatay huay uss nay mur ker poocha kay "Mai Jaon.....?"
Humain Muskarana Ki Adaat See Ho Gyi Hai,
Her Ghum Ko Chupana Ki Adat See Ho Gyi Hai,
Sahna Nahi Pata Ho Mera Ghum Janti Hoon,
Main Inain Apna Daman Main Chupati Hoon,
Her Ghum Bhool Jaoon Is Duniya Ka Main,
Chupa Lo Ager Humain Apna Daman Main,
Ek Dosra Ki Muskrahat Bana Rahain Sada Hum,
Her Dukh-o-Ghum Sa Lar Ka Jiuyan Sada Hum,
Hamara Dil Bhi Hai Kaliyon Ki Tarah ! !
Khila Kam Hai MurJhaaya Bohat Hai ! !
Humey Jisney Bholaya Aksar, ! ! ! !
Wohi Aik Shaakhs Yaad Aya Bohat Hai....
ek yaad hey ke damun-e-dil chorti nahi
ek bail hey ke lipti hoi hey shajur ke sath
is murhuley ko muat bhi kehtey hain dustoo
ik pal main tout jaien jaha umer bhur ke sath
muhabbat
sitaare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairan mein
mulaaqaaten jo hoti hain
jamaal-e-abr-o-baaran mein
ye na abaad vaqton mein
dil-e-naashaad me.n hogi
muhabbat ab nahin hogii
ye kuchh din baad mein hogi
guzar jaaynge jab ye din
ye un kii yaad mein hogi
«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»
meri zindagi aik kushk sehra ki turha thee,
tumnay isper maiy bun ker bersi ho or isko ujala dia.
jub tum dor hojati ho tu aisa lugta hay k
saray tofano nay gher rukha hay, mujh say dor na hona;
mujh say dor na hona, k dori k din bardasht nahi ,
her mulaqat k baad aik mulaqat aur ,
kyuon k koi mulaqat akhri mulaqat nahi.
zindagi bher rehna tum saath meray savera bun ker,
k her undhera dhul jaiy ga mera teri roshnion say
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daekh na pawo gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daekh na pawo gee,
tum tarpo gee meri yaad me or aansoo bahawo gee.
mujhe daekhe bina ik pal bhe na reh pawo gee.
meri yaad me tum gum sum ho jawo gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jawo gee,
mere tasauwur me tum aise kho jawo gee ,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrawo gee,
or me door khra teri bechen ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jawo gee,
or me teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jawo gee,,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jawo gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee ,
me tum hare bot kareeb hoon ,